Naya ek rishta paida kyun karen hum
Bicharna hai to jhagra kyu karen humKhamoshi se ada ho rasm e duri
Koi hangma barpa kyu karen humYe kafi hai ki hum dushman nahi hain
Wafa dari ka dawa kyu karen humWafa ikhlas qurbani mohbbat
Ab in lafzon ka picha kyu humHamri hi tamanna kyu karo tum
Tumhari hi tamana kyu karen hamkiya tha ahd jab lamhon mein hum ne
To sari umar ifa kyu karen humNahi duniya ko jab parwa hamari
To phir duniya ki parwa kyu karen humYe basti hai musalmanon ki basti
Yahan kar e masiha kyu karen humJaun Elia
Naya ek rishta paida kyun karen hum | Jaun Elia
