Mahram nahi hai to hi nawahai raz ka | Diwan-e-Ghalib

Mahram nahi hai to hi nawahai raz ka

Mahram nahi hai to hi nawahai raz ka
Yan warnah jo hijab hai, prdah hai saz ka


Range shikastah subhe bahare nazara hai
Ye waqt hai shguftane gulhai naz ka


Too aur sooai gair nazar hai tez tez!
Main aur dukh tari mazah hai daraz ka!


Sarfah hai zabte Aah mein mera, wo gar na main
Tumah hon eak hi nafse jaan gudaz ka


Hain baski, joshe badah se shisai uchal rahai
Her gosai bisat, hai sar shishah bad ka


Kawish ka dil kare hai taqazah kiye hai hunooz
Nakhun pai qarz us girah neem baz ka


Taraj kawishe game hijran hua Asad
Seenah ki tha dafeenai, guhar hai raz ka

Read Full Diwan-e-Ghalib

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *