Kyun Tabiyat kahin Thahrati nahi
Dost to udas karti nahiHam hamesha ke sair chasm sahi
Tujh ko dekhen to aankh bharti nahiShab e hijra bhi roj-e-bad ki tarah
Kat to jati hai par gujarti nahiYe mohabbat hai, sun jamane sun
Itani aasaniyan se marti nahiJis tarah tum gujarte ho Faraz
Jindagi us tarah gujarti nahiAhmed FARAZ
Kyun Tabiyat kahin Thahrati nahi | Ahmed Faraz
