Kehte hain baray fakhar se hum gham nahi karte | Mohsin Naqvi

Kehte hain baray fakhar se hum gham nahi karte

Kehte hain baray fakhar se hum gham nahi karte
Matam ki sada sunte hain matan nahi karta

Apna koi marta hai toh rotay ho tara kr
Par sibt payambar ka kabhi gham nahi karty

Wo log samjh ga kya bhala ramz e shahadat
Jo Eid to karta hain Muharram nahi karte

Kyun ap ka dil jalta hai jalta hai kyun seena?
Hum ap ka seenay pae toh matan nahi karty

Adam ne bhi to hawa k liya peeta hai seena
Samjhao inhain zindon ka matam nahi karte

Girya kiya Yaqub ne unko bhi toh toko
Yusaf abhi zinda hain yu gham nahi karty

Hamza toh shaheedon k sardar hain lekin
Chalo karty na Muhammad toh hum bhi na karty

Haq bat toh ya hai k bas bughz e Ali ka hai chakkar
Tum iss Shabbir ka matam nahi karty

Himmat hai toh mehshar mein Mustafa ko kehna
Hum zinda o javed ka matam nahi karty

Q ap dil jalta hai q jalta hai seena
Hum ap k seenay pe to matam nahi karte

Moshsin yahi maqbool e riwayat hai jahan mein
Qatil kabhi maqtool ka matam nahi karta

Poet : Mohsin Naqvi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *