kaihtai ho na dengay hum dil agar pada paya Diwan-e-Ghalib

kaihtai ho na dengay hum dil agar pada paya

kaihtai ho, na dengay hum dil agar pada paya
Dil kahan gum kijie, hum nai muddua paya


Ishq se tabiat nai zeest ka maza paya
Dard ki dawa paye, dard bai dawa paya


Doustdare dushman hai, aitemade dil maloom
Aah be asar daikhi, nalah nar sa paya


Sadgi-o- purkari, baikhudi-o-hushaiari
Husn ko tagaful mein, jurat azma paya


Guncha phir laga khilne, aaj hum nai apna dil
Khun kiya hua daikha, gum kiya hua paya


Hale dil nahin maloom laikin is qadar maloom
Hum ne barha dhondha tum ne barha paya


Shore pande naseh ne zakham par namak chidka
Aap se koi pooche, tum ne kaya maza pay

Diwan-e-Ghalib

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *