Kab yaaron ko tasleem nahi
Kab yaaron ko tasleem nahi, kab koi ado inkari hai
Is koye talabb mein hum ne bhi dil Nazar kya jaan vari hai
Jab saaz salasil bajtay thay, hum –apne lahoo mein sajtay thay
Woh Rait abhi tak baqi hai, yeh rasam abhi tak jari hai
Kuch ehley sitam, kuch ehley Hasham me khanah giranay aaye thay
Dehleez ko choom ke chore diya dekha ke yeh pathar bhaari hai
Jab parcham-e jaan leker niklay hum khaak nashen maqtal maqtal
Uss waqt se le kar aaj talak jallad pay Haibat taari hai
Zakhamo se badan gulzaar sahi par un ke shakista teer geeno
Khud turkish walay keh den ge yeh baazi kis ne haari hai
Kis zeam main thay –apne dushman shayad yeh inhen maloom nahi
Yeh khakِ watan hai jaan apni aur jaan to sab ko pyari hai