Kab samaa tha bahhar se pehlay
Kab samaa tha bahhar se pehlay
Gham kahan tha bahhar se pehlay
Aik nanha arzoo ka diya
Zofashan tha bahhar se pehlay
Ab tamasha hai chaar ka tenko
Aashiyaan tha bahhar se pehlay
Ae marey dil ke daagh yeh to bta
To kahan tha bahhar se pehlay
Pichli shab mein khazaann ka sannata
Hum zuba tha bahhar se pehlay
Chandni ma ye aag darya
Kab rawan tha bahhar se pehlay
Ban gaya hai sahab mosam e gul
Jo dhuwan tha bahhar se pehlay
Lut gayi dil ki zindagi saghar
Dil jowa tha bahhar se pehlay