Dhoondo Gay Agar Mulkon Mulkon | Shad Azimabadi

Dhoondo Gay Agar Mulkon Mulkon

Dhoondo Gay Agar Mulkon Mulkon

Dhoondo Gay Agar Mulkon Mulkon milne nahi nayab hain ham
Jo yaad na ae bhul ke phir ai ham nafaso wo khwab hain ham

Main hirat o hasrat ka mara khamosh khada hun sahi par
Dariya mohabbat kahta hai aa kuch bhi nahi payab hain ham

Ho jae bakheda pak kahin pas apne bula le behtar hai
Ab dard e judai se un ki ae ah boht betab hain ham

Ae shauq bura is wahm ka ho maktub tamam apna na hua
Van chehre pe un ke khat nikla yaan bhule hue alqab hain ham

Kis tarah tadapte ji bhat kar yan zoaf ne mushkin kas din hain
Ho band aur atish par ho chadha simab bhi wo simab hain ham

Ae shauq pata kuch tu hi bata ab tak ye kaarishma kuch na khula
Ham main hai dil e betab nihan ya ap dil e betab hain ham

Lakhon hi musafir chalta hain manzill pe pahunchte hain do ek
Ae ahl e zamana qadr karo nayab na hon kam yab hain ham

Murghan e qafas ko phulon ne ai shad ye kahla bheja hai
Aa jao jo tum ko aana ho aisa mein abhi shadad hain ham

Poet : Shaad Azeem Abadi

Full Ghazal

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *