Daher mein nakshe wafa wajhe tasalli na hua
Hai ye wo lafz ki sharmindai mani na hua
Sabzai khat se tera kakule sar kash, na daba
ye zamurrad bhi, hareef dame afaye na hua
Mein ne chaha tha ki andohe wafa se chooton
Who sitamgar merai mernai pai razi na hua
Dil guzargahe khayale mai wo sagar hi sahi
Gar nafas jada-e-sar manzile taqwa na hua
Hon tere wada na karne mein bhi razi ki kabhi
Gosh minnat kasha gulbange tasalli na hua
Kis se, mahromia kismat ki shikayat kijiye
Hum ne chaha tha ki mar jayein, so wo bhi na hua
Mar gaya sadmai yak lab se Ghalib
Natwanee se hareef dame iesa na hua
Read Full Diwan-e-Ghalib