Chiragh e toor jalao bada andhera hai
Chiragh e toor jalao bada andhera hai
Zara naqaab uthao bada andhera hai
Abhi tou subah ke mathe ka rang kala hai
Abhi fareb na khaao bada andhera hai
Woh jin ke hote hain khursheed asteeno mein
Unhein kahein se bulao bada andhera hai
Mujhe tumhare nigahon pe etimad nahi
Mere qareeb na aao bada andhera hai
Faraz e arsh se tootqa hoa koi taara
Kahein se dhoond ke lao bada andhera hai
Baseeraton pe ujalon ka khauf taari hai
Mujhe yaqeen delao bada andhera hai
Jisa zubaan e khirad main sharaab kehty hain
Woh raushni se pilao bada andhera hai
Ba nam e zohra jaheenan e khitta e firdaus
Kisi kiran ko jagao bada andhera hai
Poet : Saghar Siddiqui
Best Full Ghazal Saghar Siddiqui