Barson ke baad dekha ek shakhs dilruba sa | Ahmad Faraz

BarsoN ke baad dekha

Barson ke baad dekha

BarsoN ke baad dekha ek shakhs dilruba sa
Ab zehn men nahi hai par naam tha bhala sa

Abru khinche khinche se ankhen jhuki jhuki si
BataiN ruki ruki si Lehja thaka thaka sa

Alfaz the k jugnu aawaz ke safar men
Ban jaye jangaloN men jis tarah raasta sa

KhaaboN men khaab uske yadoN men yaad uski
NeendoN men ghul gya ho jaise k rat-jaga sa

Pahle bhi log aaye kitne hi zindagi men
Wo har tarah se lekin auroon se tha juda sa

Kuch ye k muddatoon se hum bhi nahi the roye
Kuch zahr men ghula tha ahbaab ka dilasa

Phir yuN hua k sawan aankhoN men aa base the
Phir yuN hua k jaise dil bhi tha aablaa sa

Ab such kahaiN to yaro hum ko khabar nahi thi
Ban jaye ga qayamat ek waqeya zara sa

Tewar the be rukhi ke, andaaz dosti ka
Wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa

Hum dasht the k darya hum zahr the k amrit
Nahuq the zo’m humko jab wo nahi tha piyasa

Humne bhi usko dekha kal sham ittefaqan
Apna bhi haal hai ab logo “Faraz” ka sa

Saghar Siddiqui Sad Poetry in Urdu | Urdu Poetry

Saghar Siddiqui Sad Poetry in Urdu

Saghar Siddiqui Sad Poetry in Urdu

Aye taghayar e zamana ye ajeeb dil lagi hai
Na waqar e dost hai na maza e dushmani hai

Mere sath tum bhi chalna mere sath tum bhi ana
Zara gham k raston mein bari teiz tairagi hai

Ye mushahida nahi hai mere dard ki sada hai
Mere dagh e dil loute hain teri bazm jab saji hai

Gham e zindagi kahan hain abhi wehshaton se fursat
Tere naz utha hi le gaya abhi zindagi paari hai

Jisa apna yar kehna usay chorna bhanwar mein
Ye hadees E dilbaran hai ye kamal e Dil bari hai

Wo guzar gia hai Saghar koi gafla chamana se
Kahein aag jal rahi hai kahein raakh so gai hai

Saghar Siddiqui Sad Poetry

Ahmed Faraz Poetry | Faraz Shayari

Ahmed Faraz Poetry

Ahmed Faraz Poetry

Jo harf-e haq tha wohi ja baja kaha so kaha
Bulaa se shehar mein mera lahoo baha so baha

Humi ko ehley jahan se tha ikhtilaaf so hai
Humi ne ehley jahan ka sitam saha so saha

Jisay jisay nahi chaha ussay ussay chaha
Jahan jahan bhi mra dil nahi raha so raha

Nah doosron se nedamat nah khud se sharminda
Ke jo kya so kya aur jo kaha so kaha

Yeh dekh tujh se wafa ki ke be wafai ki
Chalo mein aur kahin mubtala raha so raha

Tre naseeb agar ja lagey kinare se
Wagerna sale zamana mein jo baha so baha

Shikast o fatah mra masla nahi hai Faraz
Mein zindagi se nabard aazma raha so raha

Ahmed Faraz Poetry

Ahmad Faraz Urdu Poetry | Urdu Poetry

Ahmad Faraz Urdu Poetry

Ahmad Faraz Urdu Poetry

Is ka socha bhi na tha ab ke jo tanha guzri
Wo qayamat hi ghaneemat thi jo yakja guzri

Aa galay tujh ko laga loon mere piyare dushman
Ik meri bat nahi tujh pay bhi kya kya guzri

Mein to sehra k tapish tishna labi bhool gaya
Jo mere hum nafson pay lab e dariya guzri

Aj kya dekh k bhar ai hain ankhein teri
Hum pay ay dost ye saa’at to humesh guzri

Meri tanha safri mere muqaddar thi Faraz
Warna is sheher e tamanna say to duniya guzri

Poet : Ahmad Faraz

Ahmad Faraz Urdu Poetry  Full Ghazal

Ahmed Faraz Poetry Kisi be wafa ki khatir yeh juno Faraz Tak

Ahmed Faraz Poetry

Ahmed Faraz Poetry

Unhi khush gaminyo mein kahin jaan se bhi jao
Woh jo charah gir nahi hai usay zakham kyun dikho

Yeh udasiyoon ke mausam yuhin raaygan nahi jayen
Kisi yaad ko poukaro kisi dard ko jagaao

Woh kahniyan adhuri jo nahi ho saken gi poori
Inhen mein bhi kyun sunaoun inhen bhi kyun sunao

Yeh judaaliyon ke raste baari daur tak gaye hain
Jo gaya woh phir nahi aya meri baat maan jao

Kisi be wafa ki khatir yeh juno Faraz Tak
Jo tumhe bhala chuka hai usay tum bhi bhool jao

Ahmed Faraz Poetry

 Full Ghazal

Har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakhe | Ahmad Faraz Poetry 

Har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakhe

Har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakhe

Har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakhe
Kisi ko sairab kare wo kise pyasa rakhe

Umar bhar kaun nibhata hai talluq itna
Ay mari jan ke dushman tujhe Allah rakhe

Ham ko achacha nahi lagta koi hamnam tira
Koi tujh sa ho to phir naam bhi tujhe sa rakhe

Dil bhi pagal hai ki us shakhs se wabasta hai
Jo kisi aur ka hone di na apna rakhe

Kam nahi tama e ibadat bhi to hirs e zar se
Faqr to wo hai ki jo din na duniya rakhe

Hans na itna bhi faqiron ke akele pan par
Ja Khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakhe

Ye Qanat hai itaat hai ki chaht hai Faraz
Ham to raazi hain wo jis haal mein jaisa rakhe

Ahmed Faraz

Ab aur kya kisi se marasim | Ahmed Faraz

Ab aur kya kisi se marasim

Ab aur kya kisi se marasim

Ab aur kya kisi se marasim barhenn hum
Ye bhi boht hai tujjh ko agr bhol jaye hum

Sehra e zindagi main koi dosra na tha
Sunte rahi hain ap hi apni saden hum

Is zindagi mainn itni faraghat kise naseeb
Itna na yad ae k tujhe bhol jaye hum

Tu itni dil zada to na thi ay shabe firaq
Ae tere raste main sitare lotaen hum

Wo log ab kahan hain jo kehte tha kal Faraz
Hai hai Khuda na karda tujhe bhi rolaen hum

Ahmad Faraz

Ahmad Faraz Poetry