Woh aks mojah Gul tha chaman chaman mein raha (Parvin Shakir)

woh aks mojah Gul tha chaman chaman mein raha

woh aks mojah Gul tha chaman chaman mein raha

woh aks mojah Gul tha chaman chaman mein raha
woh rang rang mein Itra , kiran kiran mein raha

woh naam hasil e fun hoke mere fun mein raha
ke rooh ban ke meri soch ke badan mein raha

sakoon-e dil ke liye mein kahan kahan nah gayi
magar yeh dil, ke sada is ki anjuman mein raha

woh shehar walon ke agay kahin mohazab tha
woh 1 shakhs jo shehron se daur ban mein raha

chairag bujhaty rahay aur khawab jaltay rahay
ajeeb tarz ka mausam marey watan mein raha

(Parvin Shakir)

Kab yaaron ko tasleem nahi | Ahmad Faraz Poetry Ghazal

Kab yaaron ko tasleem nahi

Kab yaaron ko tasleem nahi

Kab yaaron ko tasleem nahi, kab koi ado inkari hai
Is koye talabb mein hum ne bhi dil Nazar kya jaan vari hai

Jab saaz salasil bajtay thay, hum –apne lahoo mein sajtay thay
Woh Rait abhi tak baqi hai, yeh rasam abhi tak jari hai

Kuch ehley sitam, kuch ehley Hasham me khanah giranay aaye thay
Dehleez ko choom ke chore diya dekha ke yeh pathar bhaari hai

Jab parcham-e jaan leker niklay hum khaak nashen maqtal maqtal
Uss waqt se le kar aaj talak jallad pay Haibat taari hai

Zakhamo se badan gulzaar sahi par un ke shakista teer geeno
Khud turkish walay keh den ge yeh baazi kis ne haari hai

Kis zeam main thay –apne dushman shayad yeh inhen maloom nahi
Yeh khakِ watan hai jaan apni aur jaan to sab ko pyari hai

Ahmad Faraz Poetry Ghazal

Us se milna hi nahi dil mein | Parveen Shakir Best Poetry

Us se milna hi nahi dil mein

Us se milna hi nahi dil mein

Us se milna hi nahi dil mein tahaya kar lain
Wo khud aye to boht sard ravaya kar lain

Aik hi bar ye ghar rakh ho jaan to chhoote
Ag kam hai to hawa aur muhaya kar lain

Kya zamanat ke wo chand utar aye ga
Taar e mzgaan ko agr aqad e surayya kar lain

Saans ukhr jata hai waqat ki hum kalami main
Jee main ata hai ke hum paon ko pahaya kar lain

Koi puche ke zuban kia hai teri to Parveen
Waqt aysa hai k behtr hai k taqeea kar lain#

Parveen Shakir

Parveen Shakir Best Poetry

Ma hijr k azab sy anjan bhi na thi | Parveen Shakir | Full Ghazal

Ma hijr k azab sy anjan bhi na thi

Ma hijr k azab sy anjan bhi na thi
Par kya huwa k subha talak jan bhi na thi

Ane ma ghar mara tujhe jitne jhejhak rahi
Uss darja tu ma be saru saman bhi na thi

Itna samjh chuki thi ma us k mizaj ko
Wo ja rah tha aur heran bhi na thi

Arasta tu khair na thi zindagi kabhi
Paar tujh say qabal itne pareshan bhi na thi

Jis ja makeem banane k dekhi thi ma nay khawab
Us ankh main mara laye pehchan bhi na thi

Dunia ko de dekhte rahi jis k nazar sy main
Us ankh ma mara liya pehchan bhi na thi

Roti rahi agr tu majboor thi boht
Wo rat katni koi asan bhi na thi

Naqd e wafa ko chasm e kharedar kya mile
Jins k laye koi dokan bhi na thi

Poet : Parveen Shakir

Click Here Parveen Shakir Poetry

Baad muddat usey dekha logo | Parveen Shakir

Baad muddat usey dekha logo

Baad muddat usey dekha logo
Wo zara bhi nahi badla logo

Khuch na tha mujh se bichar kar wo bhi
Us k chehre par likha tha logo

Us ki aankhen bhi kahe deti thi
Raat bhaar wo bhi na soya logo

Ajnabi ban k jo guzra hai abhi
Tha kisi waqt main apna logo

Dost to khair koi kisi ka hai
Us ne dushmann bhi na samjha logo

Raat wo dard mere dil mein utha
Subha tak chain na aya logo

Pyas sehraon ki phir taiz hui
Abr phir toot ke barsa loga

Parveen Shakir

Click Here Parveen Shakir Poetry

Wo to khusbo hai hawaon main bikhar jaye ga | Parveen Shakir

Wo to khusbo hai hawaon main bikhar jaye ga

Wo to khusbo hai hawaon main bikhar jaye ga
Masla phool ka hai phool kidhar jaye ga

Hum to samjha they ke ik zakham hai bhar jaye ga
Kya khabar thi rag e jan main utar jaye
ga

Wo hawaon ki terhan khanah bajan phirta hai
Aik jhaunka hai jo aye ga guzar
jaye ga

Wo jb aye ga to phir us ki rafaqat ke liye
Mosam e gul maray angan main thehr jayee ga

Akharish wo bhi kahin rait pay baithi ho gi
Tera yeh pyar bhi darya hai utar jaye ga

Mujh ko tahazeeb ke barzakh ka banaya waris
Jurm yeh abhi maray ajdaad ke sir jaye ga

Parveena Shakir