Wo to khusbo hai hawaon main bikhar jaye ga | Parveen Shakir

Wo to khusbo hai hawaon main bikhar jaye ga
Masla phool ka hai phool kidhar jaye ga
Hum to samjha they ke ik zakham hai bhar jaye ga
Kya khabar thi rag e jan main utar jaye ga
Wo hawaon ki terhan khanah bajan phirta hai
Aik jhaunka hai jo aye ga guzar jaye ga
Wo jb aye ga to phir us ki rafaqat ke liye
Mosam e gul maray angan main thehr jayee ga
Akharish wo bhi kahin rait pay baithi ho gi
Tera yeh pyar bhi darya hai utar jaye ga
Mujh ko tahazeeb ke barzakh ka banaya waris
Jurm yeh abhi maray ajdaad ke sir jaye ga
Parveena Shakir