Naya ek rishta paida kyun karen hum | Jaun Elia

Naya ek rishta paida kyun karen hum

Naya ek rishta paida kyun karen hum
Bicharna hai to jhagra kyu karen hum

Khamoshi se ada ho rasm e duri
Koi hangma barpa kyu karen hum

Ye kafi hai ki hum dushman nahi hain
Wafa dari ka dawa kyu karen hum

Wafa ikhlas qurbani mohbbat
Ab in lafzon ka picha kyu hum

Hamri hi tamanna kyu karo tum
Tumhari hi tamana kyu karen ham

kiya tha ahd jab lamhon mein hum ne
To sari umar ifa kyu karen hum

Nahi duniya ko jab parwa hamari
To phir duniya ki parwa kyu karen hum

Ye basti hai musalmanon ki basti
Yahan kar e masiha kyu karen hum

Jaun Elia

Shayari jhuut sahi ishq fasana hi sahi | Mohsin Naqvi

Shayari jhuut sahi ishq fasana hi sahi

Shayari jhuut sahi ishq fasana hi sahi

Shayari jhuut sahi ishq fasana hi sahi
Zinda rahne ke liya koi bahana hi sahi

Khaak ki lauh pe likha to gaya naam mira
Asi maqsud tira mujh ko mitana hi sahi

Khawab e uryan to isi tarah tar o taza hai
Han meri niind ka malbus purana hi sahi

Ek udte hoe syyare ke piche piche
Koi imkan koi shauq ravana hi sahi

Kya karen ankh agr us se siva chahti hain
Ye jahan e guzaran ana khana hi sahi

Dil ka farman sar e dast utha rakhte hain
Khair kuch roz ko takmil e zamana hi sahi

Poet : Mohsin Naqvi

Kehte hain baray fakhar se hum gham nahi karte | Mohsin Naqvi

Kehte hain baray fakhar se hum gham nahi karte

Kehte hain baray fakhar se hum gham nahi karte
Matam ki sada sunte hain matan nahi karta

Apna koi marta hai toh rotay ho tara kr
Par sibt payambar ka kabhi gham nahi karty

Wo log samjh ga kya bhala ramz e shahadat
Jo Eid to karta hain Muharram nahi karte

Kyun ap ka dil jalta hai jalta hai kyun seena?
Hum ap ka seenay pae toh matan nahi karty

Adam ne bhi to hawa k liya peeta hai seena
Samjhao inhain zindon ka matam nahi karte

Girya kiya Yaqub ne unko bhi toh toko
Yusaf abhi zinda hain yu gham nahi karty

Hamza toh shaheedon k sardar hain lekin
Chalo karty na Muhammad toh hum bhi na karty

Haq bat toh ya hai k bas bughz e Ali ka hai chakkar
Tum iss Shabbir ka matam nahi karty

Himmat hai toh mehshar mein Mustafa ko kehna
Hum zinda o javed ka matam nahi karty

Q ap dil jalta hai q jalta hai seena
Hum ap k seenay pe to matam nahi karte

Moshsin yahi maqbool e riwayat hai jahan mein
Qatil kabhi maqtool ka matam nahi karta

Poet : Mohsin Naqvi

Bahar rat main ujar rasty | Mohsin Naqvi

Bahar rat main ujar rasty

Bahar rat main ujar rasty
Taka kro gaya tu ro raro gay

Kisi say milny ko jab Mohsin
Saja karo gya tu ro paro gay

Tumhary wado ny yar muj ko
Taba kia hai kuch iss tara say

K zindagi mein jo phr kisi say
Dagha kro gay tu ro paro gay

Mein janta ho k meri Mohabat
Ujaar day Gi tumy b aisy

K chand raato mein ab kisi say
Mila kro gay tu ro paro gay

Barasti basrish mein yaad rakhna
Tumy satain gi meri ankhain

Kisi wali mizaar pay tum
Dua karo gay tu ro paro gay

Poet : Mohsin Naqvi

Baad muddat usey dekha logo | Parveen Shakir

Baad muddat usey dekha logo

Baad muddat usey dekha logo
Wo zara bhi nahi badla logo

Khuch na tha mujh se bichar kar wo bhi
Us k chehre par likha tha logo

Us ki aankhen bhi kahe deti thi
Raat bhaar wo bhi na soya logo

Ajnabi ban k jo guzra hai abhi
Tha kisi waqt main apna logo

Dost to khair koi kisi ka hai
Us ne dushmann bhi na samjha logo

Raat wo dard mere dil mein utha
Subha tak chain na aya logo

Pyas sehraon ki phir taiz hui
Abr phir toot ke barsa loga

Parveen Shakir

Click Here Parveen Shakir Poetry

Wo to khusbo hai hawaon main bikhar jaye ga | Parveen Shakir

Wo to khusbo hai hawaon main bikhar jaye ga

Wo to khusbo hai hawaon main bikhar jaye ga
Masla phool ka hai phool kidhar jaye ga

Hum to samjha they ke ik zakham hai bhar jaye ga
Kya khabar thi rag e jan main utar jaye
ga

Wo hawaon ki terhan khanah bajan phirta hai
Aik jhaunka hai jo aye ga guzar
jaye ga

Wo jb aye ga to phir us ki rafaqat ke liye
Mosam e gul maray angan main thehr jayee ga

Akharish wo bhi kahin rait pay baithi ho gi
Tera yeh pyar bhi darya hai utar jaye ga

Mujh ko tahazeeb ke barzakh ka banaya waris
Jurm yeh abhi maray ajdaad ke sir jaye ga

Parveena Shakir