Hain to kisi aur ka banay to sahi | Saeeda Hashmi

Hain to kisi aur ka banay to sahi

Hain to kisi aur ka banay to sahi

Hain to kisi aur ka banay to sahi
Kisi bhi tor se woh shakhs khush rahay to sahi

Phir is ke baad bichernay hi kon day ga usay
Kahin dikhayi to day woh kabhi miley hi sahi

Kahan ka zeam tre samnay anaa kaisi
Waqar se hi jhuke hum magar jhuke to sahi

Jo chup raha to basa le ga nafraten dil mein
Bura bhala hi kahe woh magar kahe to sahi

Koi to rabt ho apna purani qadron se
Kisi kitaab ka nuskha kahin miley to sahi

Duaye kher nahi mangay koi kisi keliye
Kisi ko dekh lekin koi jalay to sahi

Jo roshi nahi hoti nahi ho bulaa se magar
Suron se jabar ka sooraj kabhi dhaly too sahi

Poet : Saeeda Hashmi

Full Ghazal