Aap ka aitbaar kaun kare | Daagh Dehlvi

Aap ka aitbaar kaun kare

Aap ka aitbaar kaun kare

Aap ka aitbaar kaun kare
Roz ka intizar kon kare

Zikr-e-mehro o wafaa to ham karte
Phir tumhain sharam saar kon kare

Ho jo us chashm e mast se be khud
Phir usey hoshiyaar kon kare

Tum to ho jaan ik zamaney ki
Jaan tum per nisaar kon kare

Aafat e rozgaar jab tum ho
Shikwa e rozgaar kon kare

Apni tasbeeh rehne de zahid
Daana daana shumaar kon kare

Aankh hai tark e zulf hai shayed
Dekhen dil ka shikaar kon kare

Vaada karte nahin yehi kehtey hain
Tujh ko umeed vaar kon kare

Daagh ki shakal dekh kar boley
Aesi shakal ko payaar kon kare

Poet : Daag Dehlvi

 Full Ghazal

Bas ki Dushwar hai har kaam ka Asan Hona | Diwan-e-Ghalib

Bas ki Dushwar hai har kaam ka Asan Hona

Bas ki Dushwar hai har kaam ka Asan Hona
Admi ko bhi moyassar nahin insan hona


Girya chahai hai kharabi mere kashane ki
Dar-o-diwar se tapke hai biyaban hona

Waye deewanagiye shauq, ki her dam mujhko
Aap jana udhar, aap hi hairan hona


Jalwah az baski taqazai nigah karta hai
Jo her aiena bhi chahey hai masgan hona


Ishrat qatalgah ahle tamanna mat pooch
Eid nazzarah hai shadheer ka uryan hona


Ley gai khak mein hum dage tamannai nishat
To ho aur aap bah sad runge gulsitan hona


Ishrate parai dil, zakhme tamanna khana
Lazzate raishe jigar, garqe namkdan hona


Kee mere qatl ke bad, us ne jafa se tauba
Hai, us zoude pashiman ka pashabman hona!


Haif, us char girah kapde ki qismat ghalib!
Jis ki qismat mein ho aashiq ka gariban hona

Read Full Diwan-e-Ghalib

Bazame shahenshah mein | Diwan-e-Ghalib

Bazame shahenshah mein

Bazame shahenshah mein ashaar ka daftar khula
Rakhiyo yarab! ye ganjenai gauhar khula


Shab huie, phir anjum rakhshandah ka manzar khula
Is takalluf se ki goya butkadai ka dar khula

Gar cheh hon deewana, par kiyon dost ka khaon faraib
Aastin mein dashnah pinhan, hath mein nashtar khula


Go na samjhon uski batein, go na paon uska bhaid
Par yeh kya kam hai ki, mujh se woh pari paikar khula


Hai khayale husn mein husne amal ka sa khayal
Khuld ka ek dar hai meri gore ke ander khula


Munh na khulnai par hai woh aalam ki dakha hi nahin
Zulf se badkar niqab us shokh ke munh par khula


Dar pak rahne ko kaha kah ke kaisa phir gaya
Jitne arse mein mera lipta hua bistar khula


Kiyon andhaire hai shabe gam? hai kiyon balaon ka nuzool
Aai udher hi ko rahey ga deedai akhter khula?


Kaya rahon gurbat mein khush, jab hua hwadis ka ye hal
Namah lata hai, watan se, namah bar aksar khula


Uski ummat mein hon main, maire rahain kiyon kam band
Waste jis shahei ke, Ghalib! gunbade bai dar khula

Read Full Diwan-e-Ghalib

Eik eik qatre ka mujhe daina pada hisab | Diwan-e-Ghalib

Eik eik qatre ka mujhe daina pada hisab

Eik eik qatre ka mujhe daina pada hisab
Khoone jigar wadeeate masgane yar tha


Ab main hon, aur matame yak shahre arzo
Toda jo tum ne aienai, tamsal dar tha


Galiyon mein nash ko khinchai phiro ki maim
Jaan dadai hawai sare rahguzar tha


Mauje shrab daste wafa ka na pooch hal
Her zarrah misle johare taig aabdar tha


Kam jantai thai hum bhi game ishq ko, par ab
Daikha, to kam huai pah gam rozgar tha

Read Full Diwan-e-Ghalib

Nalai dil mein shab andaze asar nayab tha | Diwan-e-Ghalib

Nalai dil mein shab andaze asar nayab tha

Nalai dil mein shab andaze asar nayab tha
Tha sapnde bazme wasle gair, go baitab tha


Maqdame sailab se kaya nishat ahung hai!
Khanai aashiq magar saz sadaye aab tha


Nazishe aiyam khakaster nasheeni, kaya kahon
Pahloai andaishah, waqfe bistre sanjab tha


Kuch na ki apne junone narsane, warnah yaan
Zarrah zarrah rokashe khurshid alam tab tha


Aaj kiyon parwah nahin apne aseeron ki tujhe
Kal talak tera bhi dil mehro wafa ka ta j tha


Yad kar woh din ki her ek halqah terai dam ka
Intezare seed mein ek deedai baikhuab tha


Main ne roka raat ghalib ko, woh gar na daikhte
Us ke seele girya mein, gardon kafe sailab tha

Read Full Diwan-e-Ghalib

Shab ke barqe soze dil se zahrai abre aab tah | Diwan-e-Ghalib

Shab ke barqe soze dil se zahrai abre aab tah

Shab ke barqe soze dil se zahrai abre aab tah
Sholai jawwalah, her ek hlqai girdab tha


waan karam ko, uzre barish tha gina nageer kharam
Girye se yan, panbai balish kafe sailab tha


Waan khud aaraye ko tha moti pirone ka khayal
Yaan hujome ashk mein tare nigah nayab tha


Jalwai gul ne kiya tha waan chiragan aanjoo
Yaan rawan masgane chashme tar se khoone nab tah


Yaan sare pur shore, be khuabi se tah deewar jo
Waan woh farqe naaz, mahwe balise kamkhuab tha


Yaan nafas karta tha raushan shame bai khudi
Jalwai gul waan bisate suhbate ahbab tha


Farsh se ta arsh waan toofan tha mauje rang ka
Yaan zamin se aasman tak shokhtanka bab tha


Na gahan is rung se khoonabah tpkane laga
Dil zauqe kawishe nakhun se lazzat yaa b tha.


Read Full Diwan-e-Ghalib

Mahram nahi hai to hi nawahai raz ka | Diwan-e-Ghalib

Mahram nahi hai to hi nawahai raz ka

Mahram nahi hai to hi nawahai raz ka
Yan warnah jo hijab hai, prdah hai saz ka


Range shikastah subhe bahare nazara hai
Ye waqt hai shguftane gulhai naz ka


Too aur sooai gair nazar hai tez tez!
Main aur dukh tari mazah hai daraz ka!


Sarfah hai zabte Aah mein mera, wo gar na main
Tumah hon eak hi nafse jaan gudaz ka


Hain baski, joshe badah se shisai uchal rahai
Her gosai bisat, hai sar shishah bad ka


Kawish ka dil kare hai taqazah kiye hai hunooz
Nakhun pai qarz us girah neem baz ka


Taraj kawishe game hijran hua Asad
Seenah ki tha dafeenai, guhar hai raz ka

Read Full Diwan-e-Ghalib

Na hoga ek bayan mandagi se zauq kam meira | Diwan-e-Ghalib

Na hoga ek bayan mandagi se zauq kam meira

Na hoga ek bayan mandagi se zauq kam meira
Hubabe maujai raftar hai naqshe qadam mera


Muhabbat thi chaman se, lakin ab ye bai dimagi hai
Ki mauje booai gul se nak mein aata hai danm maira


Sarapa rahen ishq-o-naguzire ulfate hasti
Ibadat barq karta hon aur afsos hasil ka


Baqadre zarf hai, saqi! khumare tashna kami bhi
Jo too daryai mai hai, to main khamiyazah hon sahil ka

Read Full Diwan-e-Ghalib