Bemar paroun toh puchiyo mat | Jaun Elia Poetry

Bemar paroun toh puchiyo mat

Bemar paroun toh puchiyo mat
Dil khoon bhi karoun toh puchiyo mat

Mein shidat e gham se haal apna
keh bhi na sakoon toh Puchiyo mat

Dar ha k muje janoon na ho jaye
Ho jaye janoon to puchiyo mat

Mein shidat e gham se ajiz a kar
Hansny bhi lagoon toh puchiyo mat

Ate hi tumhre pass agr mein
Jany bhi lagoon to puchiy mat

Poet : Juan Elia

Click Here More Poetry Juan Elia

Full Ghazal | Jaun Elia Poetry | Umar Guzr gi imtehan ma kya

Full Ghazal

Full Ghazal

Umar Guzr gi imtehan ma kya
Dadha he denge mujh ko daan ma kya

Meri har bat be asar he rahe
Nuqs hai kuch mara bayan ma kya

Abhi farman aya hai wahan se
K hat jaon main apna darmiya se

Fulan se thi ghazal behtar fulan ki
Fulan k zakhm ache tha fulan se

Dil ne wafa ke naam par kar e jafa nahi kiya
Khud ko halaak kar diya khud ko fida nahi ki

Kaise kahin k tujh ko bhi ham se hai vaasta koi
Tu ne to hamase aj tak koi gila nahi kiya

Jaun Elia Poetry

Naya ek rishta paida kyun karen hum | Jaun Elia

Naya ek rishta paida kyun karen hum

Naya ek rishta paida kyun karen hum
Bicharna hai to jhagra kyu karen hum

Khamoshi se ada ho rasm e duri
Koi hangma barpa kyu karen hum

Ye kafi hai ki hum dushman nahi hain
Wafa dari ka dawa kyu karen hum

Wafa ikhlas qurbani mohbbat
Ab in lafzon ka picha kyu hum

Hamri hi tamanna kyu karo tum
Tumhari hi tamana kyu karen ham

kiya tha ahd jab lamhon mein hum ne
To sari umar ifa kyu karen hum

Nahi duniya ko jab parwa hamari
To phir duniya ki parwa kyu karen hum

Ye basti hai musalmanon ki basti
Yahan kar e masiha kyu karen hum

Jaun Elia