Galat nikle sab andaze hamare | Tehzeeb Hafi

Galat nikle sab andaze hamare
Keh din ay nahi acha hamaraySafar se baaz rehnay ko kaha hai
Kisi ne khol kar tasmay hamarayHar ik mosam boht andaz tak aya
Khulay rehty tha darwazay hamarayAgr ham par yakeen ata nahi tu
Kaheen lagwa lo angothay hamrayBasharat di hai azadi ki us ne
Hawa me phenk kar pinjray hamarayUs abr mehrban se kia shikayat
Agr bartan nahi bharta hamarayMaheena baad beti se mila ho
Hamen le de gaya jhagray hamarayTehzeeb Hafi