Duniya ka kuch bura bhi tamasha nahi raha | Amjad Islam Amjad

Duniya ka kuch bura bhi tamasha nahi raha
Duniya ka kuch bura bhi tamasha nahi raha
Dil chahta tha jis tarha wesa nahi raha
Tum say milay bhi hum tu judae k mord par
Kashti ho e naseeb tu dariya nahi raha
Kehtay tha ek pal na jiaein gay teray bagher
Hum donon reh gae hain wo wada nahi raha
Katay hain is taraha say teray bagher roz o shab
Main saans lay raha tha par zinda raha
Ankhein bhi dekh k khawab a gae hain tang
Dil main bhi ab wo shauq wo lapka nahi raha
Kesay milaein aankh kisi ainay say hum
Amjad hamaray pas tu chehra nahi raha
Amjad Islam Amjad