Bas ki Dushwar hai har kaam ka Asan Hona
Admi ko bhi moyassar nahin insan hona
Girya chahai hai kharabi mere kashane ki
Dar-o-diwar se tapke hai biyaban honaWaye deewanagiye shauq, ki her dam mujhko
Aap jana udhar, aap hi hairan hona
Jalwah az baski taqazai nigah karta hai
Jo her aiena bhi chahey hai masgan hona
Ishrat qatalgah ahle tamanna mat pooch
Eid nazzarah hai shadheer ka uryan hona
Ley gai khak mein hum dage tamannai nishat
To ho aur aap bah sad runge gulsitan hona
Ishrate parai dil, zakhme tamanna khana
Lazzate raishe jigar, garqe namkdan hona
Kee mere qatl ke bad, us ne jafa se tauba
Hai, us zoude pashiman ka pashabman hona!
Haif, us char girah kapde ki qismat ghalib!
Jis ki qismat mein ho aashiq ka gariban hona
Read Full Diwan-e-Ghalib