Barson ke baad dekha ek shakhs dilruba sa | Ahmad Faraz

BarsoN ke baad dekha

Barson ke baad dekha

BarsoN ke baad dekha ek shakhs dilruba sa
Ab zehn men nahi hai par naam tha bhala sa

Abru khinche khinche se ankhen jhuki jhuki si
BataiN ruki ruki si Lehja thaka thaka sa

Alfaz the k jugnu aawaz ke safar men
Ban jaye jangaloN men jis tarah raasta sa

KhaaboN men khaab uske yadoN men yaad uski
NeendoN men ghul gya ho jaise k rat-jaga sa

Pahle bhi log aaye kitne hi zindagi men
Wo har tarah se lekin auroon se tha juda sa

Kuch ye k muddatoon se hum bhi nahi the roye
Kuch zahr men ghula tha ahbaab ka dilasa

Phir yuN hua k sawan aankhoN men aa base the
Phir yuN hua k jaise dil bhi tha aablaa sa

Ab such kahaiN to yaro hum ko khabar nahi thi
Ban jaye ga qayamat ek waqeya zara sa

Tewar the be rukhi ke, andaaz dosti ka
Wo ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa

Hum dasht the k darya hum zahr the k amrit
Nahuq the zo’m humko jab wo nahi tha piyasa

Humne bhi usko dekha kal sham ittefaqan
Apna bhi haal hai ab logo “Faraz” ka sa

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *