Ahmed Faraz Poetry
Jo harf-e haq tha wohi ja baja kaha so kaha
Bulaa se shehar mein mera lahoo baha so baha
Humi ko ehley jahan se tha ikhtilaaf so hai
Humi ne ehley jahan ka sitam saha so saha
Jisay jisay nahi chaha ussay ussay chaha
Jahan jahan bhi mra dil nahi raha so raha
Nah doosron se nedamat nah khud se sharminda
Ke jo kya so kya aur jo kaha so kaha
Yeh dekh tujh se wafa ki ke be wafai ki
Chalo mein aur kahin mubtala raha so raha
Tre naseeb agar ja lagey kinare se
Wagerna sale zamana mein jo baha so baha
Shikast o fatah mra masla nahi hai Faraz
Mein zindagi se nabard aazma raha so raha